Pakistani Awam ke Naam

Daine se tum rukte ho
Allah se tum darte ho
 
Des ke bhaid tum kholte ho
Apne ayb chupate ho
 
Corruption pe tum rote ho
Judge ko bura tum kehte ho
 
Nawaz ko tum koste ho
Par Nawazne jane jaate ho
 
Sach ka parchar tum karte ho
Jhotay sach main baste ho
 
Leader ko tum pojte ho
Tauheed ka dhong rachate ho
 
Imran ka zikar tum karte ho
Par fikar hay tum ko Quaid ki
 
Soorat jis ki chahte ho
Hazar ya Panch hazar pe ho
 
Onche ghar main rehte ho
Bari si gari main phirte ho
 
Naukar chakar beshumar
iPhone perfume kapre behisab
Girlfriend ki banhon main tum
Honton pe jam pewast kye
Awam ke hal ko koste ho
 
Bahar jo gadhe jutte hue
Shayad wo bhi insan hain
Lekin tum to sirf share karte ho
Aur ilzam kisi aur pe dalte ho
 
Video share ho ya ho rubaai
Roti apni share na karte ho
Apne daman main na jhankte ho
Kankar shehar pe phainkte ho
 
Mubarak sab ko detay ho
Nya sal, Eid, Azadi ya Mazhab ki
Udasi main jo jagte hain
Kapkapati sardi main jo sotay hain
Kachi abadi main jo rehte hain
 
Vote jinka tum mangte ho
Phir gaali bhi unko detay ho
Jo ghurbat main 500 chori kare
Jail main usko dalte ho
Jo dollar airport pe le jai
Surat uski pojte ho
 
Jin ki jan ho sasti
Jin ki aan ho halki
Jin ki izat bistar pe tere
 
Koi jashn unke bhi lye?
Koi Ahsas unke bhi lye?
 
Kuch sharafat tum main baqi hai?
Ya whisky aur rum main mil gai hai?
Ya yaad e Ilaihi main be khabar
Lakhon ki roshni tum karte ho
 
Par gharib ki beti ki shadi
Ya us ki do waqt ki roti
Mehngi tum ko parti hai
 
iPhone hai sasta
Givenchy hai sale pe
Aur shayat kuch adhoray khwab bhi…
 
Daro us din se mere doston
Jis din hogi gardan tumari
Aur hath ghaleez bebas ke
Tumari cheekh pe hansain ge wo
Tumari dolat jalainge wo
 
Ghuroor jo tum karte ho
Paise ya taqat pe tum
Usdin na kaam ayga kuch
 
Bas do waqt ki jo roti bantoge
Wohi tumari maghfirat ho gi
 
Par tum kya jano tum kya mano
Tum to rahe bas tasmashai

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s